Rahat Indori ki yaad me

Mohabbat karne wala jaa raha hai 
(Ye line Rahat Indori sahab ki hai) 


Chaman se ek bulbul jaa raha hai
Usi ka gam hame tadpaa raha hai

Zamana keh raha tha jis ko Rahat
Sabhi ko wo rulakar jaa raha hai

Wo tha Indore ka ek shahzada 
Gazal jis ki Zamana Gaa raha tha

Mohabbat me watan ki sher kehna 
Yahi marhoom ka shewa raha hai 

Ataai seekh le us se mohabbat 
"Mohabba karne wala ja raha hai '' 

Marhoom = Jis par Allah ki rehmat ho, swargiya 
Shewa = aadat, tarika 






Comments