Is tarah bimar hasti ko masiha ko kar diya... Naat shareef

Is tarah bimar basti ko masiha ko kar diya
Aap ke qadmo ne Yasrab ko Madina kar diya

Aap ﷺ ki ungli se Aaqa Chand do tukde hua
Aa gaya Suraj Palat kar jab ishara kar diya

Jab rakha mere nabi ﷺne khak e Taiba par qadam 
*Aap ﷺ ke qadmo zarre ko Sitara kar diya*

Aap hain Allah ke sab se chaheete ya nabi ﷺ
Is liye to aap ﷺ ki ummat ko pyara kar diya 

Aap ﷺ ke hatho me hain dono Jaha ki kunjiya 
Aap ﷺ ko Allah ne Malik hi sara kar diya 

Aap ﷺ ki ungli se Jari ho gaya aabe rawa 
Tishnagan e sehra ko sairaab sara kar diya 

Haq taala ne karai deed apni ya Nabi ﷺ
Di fazeelat aap ﷺ ko nabiyo me Aala kar diya 

Aap ﷺ ki naalain Aaqa tajdaro ke hain taj 
Sadqa e naalain ne adnaa ko Aala kar diya 

Khuld ki janib Ataai chal diya hai be dhadak 
Roz e mehshar jab nabi ﷺ ne ek ishara kar diya 

Yasrab = Madeena shareef ka bahot purana naam hai... Hamare nabi ﷺ ke Madeena hijrat karne se pehle yahi naam tha Jab aap ﷺ ne Yasrab gaye to aap ﷺ ne naam badal kar Madeena kar diya... 

Kunji = chabi 
Aabe rawa = behta hua Pani 
Tiahnagane sehra = Registan ke pyase 
Sairab = Pyas ko bujhana
Deed = Deedar 
Aala = sab se bada ya sab se uncha darja 
Naalain = Joote, shoes 
Khuld = Jannat 

Comments