Shaheen Baag

Azm, Himmat, hausle ka Naam hai Shaheen Baag
Zalimo ke waste Anjaam hai Shaheen Baag

Hindu Muslim maikada ka jaam hai Shaheen Baag
Pyar, ulfat, amn ka paigaam hai Shaheen Baag

Afratafri ka hua mahol phir bhi ehtijaaj
Dar haqeeqat ek machini kaam hai Shaheen Baag

Tazkira Shaheen ka chubhta hai un ko is liye
Kyu ke bhakto ke liye dushnaam hai Shaheen Baag

Mosam e sardi bhi aaya or garmi bhi rahi
Sabr o istaklaal ka paigaam hai Shaheen Baag

Ek azadi ki khatir kitni hi jaane gayi
Mulk ki tareekh me ek naam hai Shaheen Baag

Aye Ataai seekh le tu jaa nisari ka sabaq
Haq ki khatir Karbala or Sham hai Shaheen Baag

Azm = Pakka Irada
Maikada = Sharab khana
Jaam = sharab
Amn = Shanti
Afratafri= bhagdad ka mahol
Ehtijaaj = protest
Machini kaam = Machine ki tarah
Tazkira = zikr karna, Shaheen Baag ke bare me baat karna 
Dushnaam = Gaali 
Istaklaal = Bahot zyada sabr
Tareekh = History
Jaa Nisari = Jaan Qurban karna 

Comments