Gharo me kaid hain jo hum to ye apni hi kismat hai

Gharo me kaid hain jo hum to ye apni hi kismat hai
Siyah aamal naame ki Mukammal ye wazahat hai

Corona virus logo yakeena ek Qayamat hai
Hisab ab apna khud hi hum ko karne ki zarurat hai

Gunaho se karo tauba jhukao sar ko sajdo me
Hame fursat mili hai to fakat karni ibadat hai

Sabhi wajib kare khud par Nabi ki paak seerat ko
Yahi momin ka sarmaya yahi to raahe jannat hai

Kabhi thali bajate hain kabhi taali bajate hain
Khadi hai maut un ke sar mahar phir bhi jahalat hai

Corona virus Mola mita de fazl se apne
Wasila tujh ko Ahmed ka ke jin ki badshahat hai

Ataai ko mere Mola bulandi tu Ataa kar de
Nahi hai nek seerat par ye banda khak fitrat hai

Seerat = aadat, sunnat 
Wajib = lazim, compulsory 
Sarmaya = punji, capital 
Raahe jannat = jannat ka rasta 
Khak = mitti 
Fitrat = aadat 
Khak fitrat = bahot zyada narm dil, aajizi wa inkisari wala... Alhamdulillah 



Comments