Jung ke maidan me hai sab ne dekha inquilab.... Tarahi gazal

Jung ke maidan me hai sab ne dekha inquilab
Khoon se rangee(n) hua hai jo bhi guzra inquilab

Gaflato ki neend me soyi huwi hai qaum ye
Jab uthegi neend se kar degi barpa inquilab

Chahiye Hindusta(n) ko phir koi rehbar naya
Jo ke laaye phir zamaane me wo tanha inquilab

Hindu Muslim ko lada kar paa raha wo manfa'at
Bhai chare se hi aayega dobara inquilab

Inquilab e zaahiri ya ke phir ho baatini
Teri koshish se hi aayega dobara inquilab

Inquilabi daur tha wo inquilabi log the
Ja Chuka wo daur bhi or sath guzra inquilab

Aye Ataai tod do tum zulm ki zanjeer ko
Mulk e Hindustan ka bas taqaza inquilab

Bas dua karte raho tum aye Ataai baar baar
Rab ta'ala ke karam se phir uthega inquilab

Rehbar = leader
Manfa'at = Fayeda
Zaahiri = The things which is visible, jo chize asal me nazar aati hai
Baatin = the things which is connected with our hearts which is invisible, wo chize jo dil se juda hai jise hum nahi dekh sakte


Comments