Bhagta momin nahi hai Jung ke maidan se... Tarahi gazal

Bhagta momin nahi hai Jung ke maidan se
Ahl e imaa(n) kis liye khaaif hain ab shaitan se

Jung e azadi ki khatir hum ne hi to Jaan di
Ab bhagate ho hamee ko mulk e Hindustan se

Ache din kab aayenge or kab milenge pandra (15) lakh
Koi to puche zara ye desh ke pradhan se

Mandir o masjid ka jhahda Chhod do aye bhaiyo
Mulk ko apne bacha lo ek bade nuksaan se

Jis ke hatho me hai sonpi hukmarani mulk ki
Sair kar ke aa raha hai ab wahi Japan se

De rahi hain sab kitabe(n) bas Mohabbat ka payam
Dekh lo injeel se geeta se or quran se

Faltu bak bak ki aadat Chhod de imran tu
Hai nahusat is bala me jaayega imaan se

Ahle imaan = muslims
Khaaif = khauf, dar
Hukmarani = hukumat, satta
Injeel= Bible
Nahusat = bad shaguni, abh shagun manhusiyat


Comments