Roshan hai zarra zarra sarkar aa gaye ﷺ... Eid e Meeladunnabi ﷺ special

JASHN E EID NEELADUNNABI ﷺ MUBARAK 

Roshan hai zarra zarra sarkar aa gaye hain ﷺ
Jag me hua Ujala sarkar aa gaye hain ﷺ

Jin ki chamak damak se roshan hua Jaha ye
Aaqa ka Noor chamka sarkar aa gaye hain ﷺ

Kaabe ko wajd aaya but sare gir pade the
Fazle khuda hau aaya sarkar aa gaye hain ﷺ

Aye Aamina tere ghar Makka ka Noor aaya
Taiba ka Noor aaya sarkar aa gaye hain ﷺ

Aate hi mere aaqa sajde me jhuk gaye the
Ummat ke pyare aaqa sarkar aa gaye hain ﷺ

Tashreef aawari jab Taiba me ho rahi thi
Bachcho ne geet gaya sarkar aa gaye hain ﷺ

Asra ki shab me Aaqa sad haaye marhaba thi
Nabiyo ne ye pukara sarkar aa gaye hain ﷺ

Roz e jaza Ataai sad fakhr se kahega
Lab par ye hoga naara sarkar aa gaye hain ﷺ

Wajd = Josh
But = Idol, moorti
Tashreef aawari = jab aap Taiba me aa rahe the
Taiba = Madeena shareef ka ek naam hai
Asra ki shab = Shabe Meraj, meraj ki raat
Sad haaye = 100 se bhi zyada sad ka matlab cent means hundred
Marhaba = Welcome
Roz e jaza = Qayamat ka din

Comments