Khuda ki Raza hain hamare Mohammed ﷺ..... Naat shareef

Khuda ki Raza hain hamare Mohammed ﷺ
Habeeb e khuda hain hamare Mohammed ﷺ

Hamare Mohammed hain pyare Mohammed ﷺ
Khuda ki sana hain hamare Mohammed ﷺ

Unhe badshahi mili do jaha ki 
Shahe do Sara hain hamare Mohammed ﷺ

Khuda ne ye ehsan ham pe kiya hai 
Khuda ki ataa hain hamare Mohammed ﷺ

Hain Asra ki shab me imamat karai 
Shahe Ambiya hain hamare Mohammed ﷺ

Wahi Aamina ki hain aankho ke tare 
Hamare piya hain hamare Mohammed ﷺ

Khabar Jin ki aamad ki Eesa ne di hai 
Khalili dua hain hamare Mohammed علیہم السلام ﷺ 

Are be qararo! Are gam ke maaro! 
Gamo ki dawa hain hamare Mohammed ﷺ

Doll Aalam ki takhleeq hai Jin ki khatir 
Wahi dil ruba hain hamare Mohammed ﷺ

Jaza or saza se na darna Ataai 
Shafi ul wara hain hamare Mohammed ﷺ

Raza = Chahat 
Habeeb e khuda = Khuda ka Mehboob, khuda ke dost 
Khuda ki sana = Khuda ki tareef 
Shahe do Sara = dono Aalam ke badshah, sari kayenat ka badshah
Khuda ki ataa = khuda ka diya hua tohfa
Asra ki shab= shab e meraj 
Shae Ambiya = Sare nabiyo ke badshah 
Aamad ki Khabar dena = aane ki Khabar dena
Eesa = Prophet Jesus علیہ السلام 
Khalili dua = Hazrat Ibrahim علیہ السلام ki dua 
Do Aalam takhleeq = sari kayenat Jis ke liye banayi gayi 
Jaza= badla 
Shafi ul wara = Gunahgaaro ki sifarish karne wala 



Comments