Khabar to li hi nahi tune aashiyane ki (Tarahi gazal on what's app group Bazm e Farogh e Adab)

Khabar to li hi nahi tune aashiyane ki
Padi hai laash abhi tak tere diwane ki

Mujhe huwi hai mohabbat bas ek sitamgar se
*Saza mili hai mujhe mere muskurane ki*

Use bhi gair ke banho me
jaa ke girna tha
Use padi thi faqat mujh ko hi jalane ki

Tumhare waar se ye dil nahi halaak hua
Ise bhi pad gayi aadat hai zakhm khane ki

Tere labo se labo ko mila liya main ne
Huwi hai aarzu Puri tere diwane ki

Ataai shayari teri badi kamaal ki hai
Misaal koi nahi tere is Khazane ki

Sitamgar = zulm karne wala
Halaak = mar jana, maut

Comments