Manqabat of Sayyad Mansoor ul Hasan Shah Rehmatullahi Alaih on the occasion of 24th urs

Jalwa e noor e khuda jalwa Shah e Mansoor ka
Mustafa ki aal hain kunba shah e Mansoor ka

Sallallahu Alaihi wa sallam

Auliya Allah me charcha Sha e Mansoor ka
Raah e jannat ban gaya talwa shah e Mansoor ka

Chal pada hai faiz ka darya Sha e Mansoor ka
*Kaaba e usshaq hai roza Shah e Mansoor ka*

Roshni se jagmagati hai ye sari Anjuman
Kha rahe hain sab yaha sadqa Shah e Mansoor ka

*Ek kutte ke maqabil sher aaya tha kabhi
Phod dala us ka sar kutta Shah e Mansoor ka

*Qadri Chishti mila kar ban gaya hai ye chaman
Bul ulai ban gaya kunba Shah e Mansoor ka

Dekho dekho zairo *Jugnu miya ko dekh lo
Chehra e jugnu miya chehra Shah e Mansoor ka

Banda e Aajiz Ataai ne ye paya hai maqaam
Kar raha hai ye baya(n) rutba Shah e Mansoor ka

Hai karam sarkar ka tujh par Ataai is baras
Phir bulawa hai tujhe aaya Shah e Mansoor ka

Raah e jannat = Jannat ka rasta
Kaaba e usshaq = Ashiqo ka kaaba
Maqabil = Muqable me, samne
*(1) Ye waqiya bahot mash-hoor hai ke ke hazrat Mansoor Rehmatullahi Alaih ka ek kutta tha jis ne ek do nahi balki takriban 6 Shero ko ek ek kar kha gaya... It's very strange... But it's true... Ye bilkul sach hai... Q k Hazrat Mansoor Allah ke wali hain is liye Allah ne aap ke sadqe aap ke kutte ko bhi be panah taqat ataa farmaya tha

*(2) Qadri Chishti Abul Ulai... Main ne shayari ke lihaz se Bul ulai likha hai. Asal me. Abul ulai hai... Ye sab tarikat o maarfat ke silsile hain... Allah walo ke hath par tauba karna or un se Wada karna ke ab gunah nahi karunga ye baiyat kehlata hai... Bay arabic term hai or usi se baiyat bana hai bay means khud ko bech dena... Khud ko kisi wali ke hatho bech dena... Means us Allah ke wali ki har us baat ko follow karna jo deen or shariyat se na takraye...

*(3) Jugnu miya... Nick name hai un ka Asli naam Sayyad Wasim ur Rehman shah hai... Ye hazrat Mansoor Rehmatullahi Alaih ke pote hain.. Or hazrat Mansoor un ke Dada hain...
Bandaye Aajiz = ek chhota sa banda, ya chhota sa Gulam 

Comments