Mujh ko to bas teri zarurat hai (Tarahi gazal on what's group Dayar e gazal)

Tere Dil me jo mujh se chahat hai
Mere ash'aar ke badolat hai

Mujh ko to bas teri zarurat hai
*Ye fasana nahi Haqeeqat hai*

Chand sikko se mil nahi sakti
Itni sasti nahi mohabbat hai

Tu jo rootha to dil nahi lagta
Teri narazgi qayamat hai

Baithe baithe hi Khoya rehta hu
Ye mohabbat ki ek alamat hai

Main ne ab tak nahi chhuwa tujh ko
Ye mohabbat ki ek taharat hai

Jo bacha le mujhe gunaho se
Aisi ulfat bhi ek ibadat hai

Tu to Milta nahi magar mujh ko
Lamha Lamha teri zarurat hai

Ashk aankho se ho jaye jaari
Yaad aana tera qayamat hai

Pher lete ho mujh se nazre kyu
Ye dikhawa hai ya ke nafrat hai

Zakhm jitne the see liye main ne
Ye bhi himmat ki ek alamat hai

Tum bhi rote ho is liye Jaana
Mere ash'aar me sadaaqat hai

Zakhm dete ho kyu Ataai ko
Tum Ko is se hi kyu Adawat hai

Ash'aar = Shayari (plural word in urdu)
Alamat = Nishani
Taharat =  pakeezgi
Sadaaqat = Sachchai
Adawat= Dushmani 

Comments