Apne Ashko ko bahate hain shab e furqat

Apne Ashko ko bahate hain shab e furqat me
Khoon e dil apna jalate hain shab e furqat me

Roshni hum ko Sitaro ki bhali lagti thi
Ab andhere bhi satate hain shab e furqat me

Hum ne apno ke chirago ko ziya baanti thi
Hum ko apne hi bujhate hain shab e furqat me

Gam bhari raat wahi gam bhi wahi dil bhi wahi
Aao hasrat ko mitate hain shab e furqat me

Naala e dil bhi sunayenge kise jakar hum
Is Liye gam ko badhate hain shab e furqat me

Gam e Jaana bhi Ataai ko mila tohfe me
Gam ko seene se lagate hain shab e furqat me

Shab e furqat = Judai ki raat
Ziya = Roshni
Naala e dil = Dil ki faryaad 

Comments