Ye tera dar khula hai sakhawat ke naam par

Happy Birthday Dear Habeeba Miss 

Ye tera dar khula hai sakhawat ke naam par
Milta hai ya pe ilm mohabbat ke naam par

Ahle karam bhi haira(n) hain ye dekh kar yaha
Be inteha karam hai ukhuwat ke naam par

Wo kofta kabab ho ya ho chicken kari
Wo meherba(n) khilate hain dawat ke naam par

Ausaaf ba kamaal hai akhkaq be nazeer
Kya kya likhu main aap ki seerat ke naam par

Hum ko mila hai faiz riyazi ka bhi yaha
Hoti thi roz mashq riyazat ke naam par

Aaye bulawa aap ko taiba se jald tar
Sarkar ab bulaye(n) ziyarat ke naam par

Sallallahu Alaihi wa sallam

Tere karam se paaya Ataai ne ye makaam 
Ulfat mili zamane se izzat ke naam par 

Dar = darwaza 
Sakhawat = Darya dili 
Ya pe = yaha pe 
Ilm = Knowledge, education 
Ahle karam = rehem dil log 
Karam = nawazish, rehem 
Ukhuwat = Bhai chara 
Ausaaf = Aadat 
Be nazeer = jis ki koi misal nahi 
Seerat = Aadat 
Faiz = Fayeda 
Riyazi = Maths
Mashq = Practice 
Riyazat = Mehnat 
Taiba = Madeena Shareef ka ek naam 

Comments