Kya zarurat hai rang o Nak-hat ki (Tarahi gazal on what's group Dabistan e Rasheed)

Kya zarurat hai rang o Nak-hat ki
Hoor lagti ho tum to jannat ki

Garche Zahir me teri mid-hat hai
Haqq bayani hai teri seerat ki

Aao mil kar mitaye doori ko
*Aao baate kare mohabbat ki*

Tera milna bahot zaruri hai
Tu hi had hai meri zarurat ki

Dil lagi kar rahe the muddat se
Rooth kar tum ne phir qayamat ki

Khwaab palko pe aa gaye mere 
Raat main ne teri ziyarat ki

Ab to aao ke maut aayi hai
Aarzoo hai tumhari qurbat ki

Tum na aaye to maut hi aayi 
Hai ye inaam teri chahat ki 

Jaan dedi hai jaan e jaana ko 
Ibtida hai yahi mohabbat ki 

Maut aa kar rahi Ataai ko 
Khoob Anjaam hai mohabbat ki 

Rang o Nak-hat = Make up and perfumes 
Mid-hat = Tareef 
Haqq bayani = Haqeeqat bayan karna, sach bayan karna 
Seerat = Aadat 
Ziyarat = Deedar karna 
Qurbat = Nazdeek 
Ibtida = Shuruwaat, beginning 

Comments