Bhara hai baab mera bas ziya(n) se (Tarahi gazal on the occasion of Iqbal day on 21st April 2019)



Youme Iqbal (Iqbal day) ke moke par pesh ki gayi gazal 

Mera daman Bhara bas ziya(n) se
Mohabbat ki ajab ek dasta(n)

Badi ummeed se main ne dua me
Tumhe manga hai rabbe do jaha(n) se

Jigar me dard hai par yaad rakhna
Guzar jaunga main har imtiha(n) se

Ishara gar ho teri jaan e Jaana
Sitare tod laau aasma(n) se

Tumhari yaad ki dastak shayad
Na jaane aa gayi khushboo kaha(n) se

Mujhe bhi rab ne bheja hai zamee(n) par
Utara hai tumhe bhi aasma(n) se

Khuda ne ek hi tum ko banaya
Tumhara misl main laau kaha(n) se

Khuda ke khauf se ye dil ATAAI
*Laraz jaata hai aawaz e azaa(n) se*

Ziya(n) = Nuksaan, lose
Tumhara misl =Tumhare jaisa

Comments