Zamane bhar me chhaya hai tera Faizan Ya Khwaja Rehmatullahi Alaih

Zamane bhar me chhaya hai tera Faizan Ya Khwaja 
Tumhare faiz se hum ko mila Imaan Ya Khwaja 

Rehmatullahi Alaih

Diwane misl parwane lagaye(n) bheed roze par 
Gareebo ki madad kar ke karo Ehsan Ya Khwaja 

Rehmatullahi Alaih 

Ataa ho ilm ki dolat ataa ho ishq ki Lazzat 
Nabi ke ishq se taza karo Imaan Ya Khwaja 

Sallallahu Alaihi wa sallam wa Rehmatullahi Alaih 

Tumhare hukm se pani chala aaya hai kooze me 
Karamat dekh kar teri hain sab hairan Ya Khwaja 

Rehmatullahi Alaih 

Faqat tableeg ki khatir Watan ko chhod kar aaye
Zamane bhar ki dolat ko kiya qurban Ya Khwaja 

Rehmatullahi Alaih 

ATAAI ko ataa kar do ziyarat apne roze ki 
Karam se apne is ko phir karo mehmaan Ya Khwaja 

Rehmatullahi Alaih 

Misl parwane = Parwano ki tarah 
Kooze me = Pyale me 
Karamat = chamatkar, miracle 
Faqat = Sirf 
Tableeg= Deen ko phailane ke liye 

Comments