Ye sach hai ke hum sahib e kirdar nahi the

Ye sach hai ke hum sahib e kirdar nahi the 
Dunya ki nazar me to gunahgaar nahi the 

Mana ke teri deed ne ek aag lagai 
Par shauk se hum talib e deedar nahi the 

Kuch apni safai ka bhi moka mujhe dete 
Hum Phool the andar se koi khar nahi the

Roothe the agar mujh se badi bat nahi thi 
Par tujh se bichadne ke to aasar nahi the 

Kyu Aake nazar tum ne hamee se hai milaya 
Hum log mohabbat ke tarafdaar nahi the 

Phir shauk e gazal ne to Ataai ko duboya 
Aise to kabhi is ke ye ash'aar nahi the 
Sahib e kirdar = nek, acha character wala 
Deed = Ek nazar, deedar 
Talib e deedar= Deedar karne ko khwahish nahi thi 
Khar = Kanta 
Aasar = ummeed 
Gazal = Mohabbat wali shayari, loving shayari 
Ash'aar = Shayari ka plural word 

Comments