Hijr o furqat me sanam dekh ye haalat kya hai (Tarahi gazal on what's group Dayar e gazal)

Hijr o furqat me sanam dekh ye haalat kya hai 
Aa zara dekh mere dard ki Shiddat kya hai 

Mujh ko mil jao agar tum to shikayat kaisi 
Ma siwa is ke Meri or zarurat kya hai 

Dar Haqeeqat jo pujari hain hawas ke logo 
*Kya samajh payenge wo log mohabbat kya hai*

Kar ke barbad mujhe shuak se wo puchte hain 
Ab bata mujh ko tere qalb me hasrat kya hai 

Mere ehsaas Me ab bas gayi teri khushboo 
Is diwane ko bhala itr ki haajat kya hai 

Shauk se kehna ATAAI ke tera hona hai 
Tujh se puche jo sanam aakhri hasrat kya hai 

Hijr = Judai 
Furqat = Gam 
Ma siwa = is ke siwa 
Qalb = dil 
Hasrat = Khwahish 
Itr = perfume 
Hajat = zarurat 

Comments