Hai Wada ab hamara tujh pe hum ye jaa(n) luta denge (Tarahi gazal)

Hai Wada ab hamara tujh pe hum ye jaa(n) luta denge 
Hame hai pyar kitna aye Watan sab ko bata denge 

Hamare is Watan ko dekh mat chashme haqaarat se 
*Zamee(n) se ek pal me tera naqsha hi mita denge*

Jo nafrat hi kare(n) or bas adawat hi rakhe hum se 
Hum apne dushmano ko bhi mohabbat se dua denge 

Agar Bedaar ho jaye(n) Hamari qaum gaflat se 
To phir Hindusta(n) ko hum nizam e Mustafa denge

Sallallahu Alaihi wa sallam 

Agar ungli uthaoge hamare mulk ki janib 
To aye dushman tujhe hum beech raste me jala denge 

ATAAI pyar hai itna watan ki paak mitti se 
Ke hum is ki hifazat me to sar apna kata denge 

Chashme haqaarat = Burien Nazar
Adawat = Dushmani 
Bedaar = uth jana, jaag jana
Gaflat = Gehri neend 

Comments