Labo se mere tu lab mila kar (Tarahi gazal)

Labo se mere tu lab mila kar
Jo Karz baki hai wo adaa kar

Kidhar chala hai nazar chura kar
Yu khud ko mujh se na tu juda kar

Mile ho Barso ke bad aise
*Rula diya hai mujhe Hansa kar*

Wo pass aaye (n) to dil ki dhadkan
Dhadak rahi hai mujhe jala kar

Ajeeb khaslat ki hai wo ladki
Jo dekhti hai nazar chura kar

Main Dil me apne tujhe chhupa lu
Sabhi ke nazaro se ab bacha kar

Tumhara chehra bhi gazal hai
Main likh raha hu ise saja kar

Haseen Lamhe the dil lagi ke
Guzar gaye jo mujhe rula kar

Bahar aayegi ab ke mosam
Khushi ke lamho ke gul khila kar

ATAAI ab to fidai ban ja
Haseen chehre pe dil fida kar

Lab = Hont
Khaslat = aadat
Gazal = mohabbat wali shayari
Gul = Phool
*Ye line kisi or shayar ki likhi hui hai*


Comments