Dil me ab dard to bacha hi nahi (Tarahi gazal)

Dil me ab dard to bacha hi nahi 
Yaani ke ab koi dil ruba hi nahi 

Tere jaane ke baad aye dilbar 
*Mere hisse me kuch bacha hi nahi*

Phool gulshan hain bahot lekin 
Tujh sa koi bhi gul khila hi nahi 

Dard seene me jo chhupa hai sanam 
Ab wo kehne ko hosla hi nahi 

Wo bhi Kehta hai Fakhr se mujh ko 
Koi tujh sa fida hua hi nahi 

Ishq ki aag ek nazar me lagi 
Is me koi meri khata hi nahi 

Dard tune diya Ataai ko 
Is se badh kar koi Ataa hi nahi 

Gul = Phool 
Khata = Gunah 
Ataa= Nawazish, tohfa, gift 

Comments