Ab to sitam ko sehne ki takat nahi (Tarahi gazal)

Ab to sitam ko sehne ki takat nahi rahi 
Yaani ke dil me ishq ki chahat nahi rahi 

Seene se lag ke khush huwe jab wo raqeeb ke 
*Phir yu hua ke jeene ki hasrat nahi rahi*

Ahle hawas ne kar diya badnam ishq ko 
Ahle wafa ke Seeno me chahat nahi rahi 

Chhedo na kisse dard ke aye mere dosto 
Apne hi dard me mujhe rahat nahi rahi 

Hans hans ke baat karte the mujh se kabhi sanam
Kya ho gaya ke ab wo shararat nahi rahi

Aagaz e subah hoti thi teri hi deed se
Pabandiyo me ab wo ziyarat nahi rahi

Aaya khayal e yaar ibadat me jab mujhe 
Phir jaise bandagi me bhi Lazzat nahi rahi 

Maktaa me kya likhega ATAAI jigar ka dard 
Ab to sanam ke dard me Shiddat nahi rahi 

Raqeeb = Ek hi mehboob ke 2 alag alag aashiq
* Ye line kisi or shayar ki likhi hui hai*
Ahle hawas = Hawas parast log, lusty people 
Ahle wafa = Wafa daar 
Aagaz = Shuruwaat, beginning 
Deed= Dekhna 
Ziyarat = Deedar 
Lazzat = Mithas 
Maktaa= Gazal ke aakhri sher ko Maktaa kehte hain makta me shayar apna naam bhi dalta hai jaise ke main ne Ataai likha hai 
Shiddat = zyadati, sakhti 

Comments