Tamannaaye mohabbat Haqeeqat ho nahi sakti (Tarahi gazal)

Tamannaaye mohabbat ki Haqeeqat ho nahi sakti
Mere mehboob se ab meri nisbat ho nahi sakti

Mohabbat hi ibadat hai ibadat hi mohabbat hai
*Mohabbat se badi dunya me dolat ho nahi sakti*

Nahi milti kabhi shohrat kisi ke chah lene se
Bila mehnat kisi shayar ki shohrat ho nahi sakti

Jaha par ishq galib ho waha par aql aajiz hai
Mohabbat to mohabbat hai siyasat ho nahi sakti

Chhupe ho aise parde me ke jaise chand badli me
Ke jab tak tum na chahoge ziyarat ho nahi sakti

Teri jalwa giri me hai adaaye naaz ke johar
Ke jab tak husn na aaye nazakat ho nahi sakti

ATAAI se koi nisbat nahi teri magar jana
Tu nafrat kar nahi sakti adawat ho nahi sakti

 * Ye line kisi or shayar ki likhi hui hai*
Nisbat = Rishta
Bila mehnat = bina mehnat 
Ishq galib ho =ishq zyada ho
Aql aajiz hai = Aql bebas hai... Means zyada ishq hone par dimag nahi chalta 
Badli = badal 
Ziyarat = Deedar 
Adaaye Naaz ke johar = Fakhr wale zewar means full attitude

Comments