Salam aa kar kare adab se (Tarahi gazal)

Salam aa kar kare adab se
Wo mujh ko dekhe badi talab

Labo pe mere hai naam tera
Badhi hai chahat teri talab se

Kabhi hai nafrat kabhi hai chahat
Ye haal tera hai jane kab se

Sanam ke banho me marna chahu
Hai Dil me khwahish na jane kab se

Dua e rehmat baraye bakhshish
*yahi guzarish hai meri sab se*

Hain un ke zewar me un ka tevar
Sanam chale hain kuch aise dhab se

ATAAI tera hai mutazir ab 
Tujhe hi manga hai apne rab se

Talab = Chahat
Dua e rehmat = Rehmat ki dua
Baraye bakhshish = gunah maaf hone ke liye
Muntazir= intezar karna 

Comments