Meri jaa(n) ab to aa jao ( Tarahi gazal)

Meri jaa(n) ab to aa jao suno bhi ab sada meri
Main kitna pyar karta hu bata degi wafa meri

Abhi zinda hu meri jaa(n) abhi tum dil lagi kar lo
*Chirag e zindagi ek din bujha degi qazaa meri*

Kabhi nazre milata hai kabhi nazre churata hai
Kabhi mujh ko rulata hai bata kya hai khata meri

Kabhi is par bhi socha hai bichadna tujh se kaisa hai
Judai hai sanam teri ke jaise ho saw meri

ATAAI jab dua karna usi ke ishq me karna
Kabhi to lag hi jayegi use dil ki dua meri

Sada = Awaz
Qazaa = Maut, death 
* Ye like kisi or shayar ki likhi hui hai*

Comments