Jo guzra hai ab hai ab bhulana padega (Tarahi gazal)

Jo guzra hai ab wo bhulana padega
*Qadam tum ko khud hi badhana padega*

Mohabbat ki raho se aye darne wale
Mohabbat ki raho me aana padega

Faqat tune nafrat abhi tak kiya hai
Mohabbat bhi kar ke dikhana padega 

Kabhi Dil lagi hai kabhi be Rukhi hai
Tere dil me kya hai batana padega

Meri chashm e nam pe aye muskane wale
Tujhe bhi ab aansu bahana padega

Agar shauq hai tujh ko gazlo ka dilbar
Dayar e gazal tujh ko aana padega

ATAAI paresha(n) hai chahat me us ke 
Use dil se ab to bhulana padega 

*Ye line kisi or shayar ki likhi hui hai *
Faqat = Sirf
Chashm e nam = Roti hui aankh Dayar e gazal = Gazlo ka sheher 

Comments