Aap ki to har adaa hai munfarid (Tarahi gazal)

Aap ki to har adaa hai munfarid 
Roth jana ek Bala hai munfarid 

Dard ko ab to badhate jaiye 
*Mere zakhmo ki dawa hai munfarid *

Munfarid shokhi agar hai aap ki 
Be rukhi ki ye adaa hai munfarid 

Khamshi jo chha gayi hai aap par 
Meri khatir ye saza hai munfarid 

Gair se jo guftugu karte hain aap 
Is se mera dil jala hai munfarid 

Dekh kar anjaan bante ho sanam 
Aap ki to ye adaa hai munfarid 

Jaan e Jaana par meri jaa(n) hai nisaar 
Ab to meri jaa(n) fida hai munfarid 

Shayari ka fun mila inkar se 
Aye ATAAI ye Ataa hai munfarid 

*Ye line kisi or shayar ki likhi hui hai *
Munfarid = Bilkul alag, different. 
Shokhi = Masti, hansi mazak ki aadat 
Guftugu = Baat 
Fun = Hunar, ye English wala fun nahi hai.... Urdu ka word hai 
Ataa= Gift,  kisi ki taraf se kuch milna 

Comments