Sambhalne walo se or kya bhala hoga

Sambhalne wale se or kya bhala hoga
Sambhal ke jo tujh se juda hua hoga

Sambhal paaye na wo kabhi khud ko
Jo koi tere ishq me gir gaya hoga

Sitam to ye hai ke dekhte bhi nahi
Haye Mazloom par tere or kya saza hoga

Teri talab me tadap kar kabhi jo rota the
Wo aaj tujh se juda ho kar khush hua hoga

Adaaye(n) aisi thi teri ke chah badhti gayi
Tera ye ishq mujh se na kam hua hoga

ATAAI toot chuke ho tum apne andar se
Tujhe guman ke phir koi ab ataa hoga ??? 

Sitam = Zulm
Mazloom = Jis per Zulm hota hai
Guman = Soch, Khayal
Ataa= Nawazish, kisi ki taraf se kuch milna 

Comments