Nazar me ishq e Mohammad ka jaam le ke chale

Nazar me ishq e Mohammad ka jaam le ke chale
Nabi ka ummati un ka nizam le ke chale

Sallallahu Alaihi wa sallam

Chirag e ishq o mohabbat ka sath me Lekar
Jaha(n) me Aman o Amaa(n) ka payam le ke chale

Wo Hazrat e Farooq kabhi jo unt le ke chale
Kabhi wo khud chale(n) kabhi gulam le ke chale

Razi Allahu Ta'ala Anhu

Jo jaan de chuke ishq e Mohammadi me faqat
Wo baad e maut lahed me Dawam le ke chale

Sallallahu Alaihi wa sallam

Jo un ka aashiq hai unhi ka naam leta hai
Museebato me wo har dam unhi ka naam le ke chale

Wo apne lab par durood ki dali wa sunnat Ahmed
Saja saja kar wo subah o sham le ke chale

Sallallahu Alaihi wa sallam

ATAAI baroz e hashr shafa'at e Mohammedi jo mila
To janib e khuld wo Adaaye khiram le ke chale

Sallallahu Alaihi wa sallam

Aman o Amaan = Sukoon or shanti
Unt = Camel
Lahed = Qabar
Dawam = Hamesha rehne wali zindagi
Shafa'at = Sifarish
Janib e khuld = Jannat ki taraf 
Adaaye Khiram = Naaz or Fakhr wali adaa

Comments