Khud ko hum bekarar na karte

Khud ko hum bekarar na karte
Ankh ko ashkbar na karte

Dard e ulfat bhi na mila hota
Hum agar tum se pyaar na karte

Kaid me hai tumhare mera dil
Mere dil ka shikar na karte

Kya khabar thi Shifa nahi milti
Warna dil ko bimar na karte

Char soo aks hai tumhara hi
Or hum se pyaar na karte??

Bawafa hai ATAAI yaar mera
Kash ye aitebaar na karte

Char soo = charo taraf
Aks = Jhalak
Bawafa = Wafadar 

Comments