Happy Republic Day

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai
Dekhna hai zor kitna baazu e qatil me hai

Bulbulo ko Naaz tha jis chaman par aye khuda
Soona hai ab wo chaman ab wahi maqtal me hai

Is ko seencha khoon se or jannat kar diya
Ab wahi Hindusta(n) zere lab mehfil me hai

Jis taraqqi ke liye nikle muhibbane Watan
Raah me bhatke hain aise ab talak manzil me hai

Haq parasti ke liye jaa(n) lutaye ahle haq
Ab wahi shamil sare fehrist ke qatil me hai

Le chala hai shuq ne tujh ko Ataai us maqam
Hai tiranga Haath me or Watan bhi dil me hai

Sarfaroshi = Jaan qurban karna
Zor = Takat
Baazu e qatil = Dushman ke baazu me means Dushman ke pass kitni takat hai
Bulbul= Koyal
Maqtal = Qatal khana
Zere lab = Zere behes, under the debate, behes ka ek mudda
Muhibbane Watan = Desh Bhakt
Haq parasti = sachchai ke liye 
Ahle haq = sachche log
Fehrist = List

Comments