Guzri yaado ko ab dil se bulaya jaye

Guzri yaado ko ab dil se bulaya jaye
Rasm e ulfat ko dobara na nibhaya jaye

Gir chuke the jo kabhi teri chahat me
Phir ye aiwan e anaa ko na giraya jaye

Us ko ehsaas mohabbat ka kabhi ho na saka
Us ko ehsaas mohabbat ka bhi dilaya jaye

Tere hone se ban jaati hai taqadeer meri
Tere hone ka mujhe farz karaya jaye

Tere ehsaas ke main gam se hi mar jaunga
Mujh se ye bojh gamo ka bhi utara jaye

Tere ehsaas ka gam leke chala ye ATAAI tera
Is ki har raah me ab khar Bichaya jaye

Aiwan = building, imarat, kila
Anaa= Attitude, gurur, ghamand
Aiwan e anaa = matlab yaha par ye hai ke apni izzat ko girne na diya jaye
Farz karana= us ke hone ka ehsaas dilana,
Khar = Kante 

Comments