Dekhu main Kubaa ko kabhi chalne ki adaa ko

Dekhu main Kubaa ko kabhi chalne ki adaa ko
Zulfo ki ghata ko kabhi kabhi chehre ki anaa ko

Itrate huwe chehre ki Tabassum ki adaa ko
Chehre ki chamakti hui teri ziya ko

Wo dast e karam ki kabhi jood o Nawaa no
Dekhu tere hatho ko or us ki hina ko

Pazaib ki chhan chhan ko kabhi us ki nida ko
Dekhu tere pairo ko kabhi us ki ginaa ko

Dekhu tere kajal ko or us ki ghata ko
Aankho ki mohabbat ko or us ki wafa ko

Dekha hai bahot gor se har ek adaa ko
Or sath me dekha hai ATAAI ne ataa ko

Kubaa = Aisa kapda jis ka front coat ya sherwani ki tarah open rehta hai
Anaa = attitude, ghamand
Tabassum = muskurahat
Ziya = Roshni
Dast e karam =meherbani wala hath
Jood o Nawaa = Dariya dili
Hina = Mehendi
Pazaib = Payal
Nida= Awaaz
Ginaa= Gana, song
Ataa= meherbani

Comments