Happy Birthday Imran ATAAI

Zindagi ki chamak raas aati h nahi
Dil se nafrat gunaho ki jati nahi

Zindagi hai faqat aab ka bulbula
Zindagi is liye hath aati nahi

Apne rab ki ibadat jawani me kar
Zindagi phir jawani dikhati nahi

Haye gaafil gunaho me tu hai magan
Rab ki rehmat tujhe kyu jagati nahi

Aish e dunya me aakhir tu kyu lag gaya
Fikr uqba ki tujh ko satati nahi

Haye gaflat ATAAI pe chhai rahi
Is ki aadat gunaho ki jati nahi

Aab= Pani
Gaafil = sota hua matlab gumraah
Uqba = Qayamat ka din
Gaflat = Gumrahi 

Comments