Aane lagi hai ab wo mukammal hijab me

Aane lagi hai ab wo mukammal hijab me
Bhadhne laga hai husn us ka nakaab me

Us ke haseen jalwe poshida ho gaye
Jaise chhupa ho ilm koi kitab me

Chashma laga hai ankh par jaise ho doorbeen
Kankhi se dekhte ho mujh ko nakaab me

Deedar se main tere makhmoor ho gaya hu
Milta nahi nasha ab mujh ko sharab me

Gird o nawah tere raqeebo ki tolya(n) hain
Kante lage ho jaise khilte gulab me

Deewangi bhi tujh pe chhai hai tu Ataai
Dekhe se lag rahe ho tum bhi azab me

Poshida= chhup jana
Kankhi = Tirchhi nazar se dekhna
Gird o nawah = Aas Pass
Raqeeb = ek hi mehboob ke alag alag aashiq 


Comments