Kis qadar rehta hai ab tujh se mulaqat ka shuaq

Kis qadar rehta hai ab tujh se mulaqat ka shuaq
Lutf deta hai mujhe teri har ek bat ka shuaq

Khoya rehta hu khayalo me main aksar tere
Le hi doobega mujhe tere khayalat ka shauq

Meri aankhon ne bhi dekhe hain hazaro sapne
Sare sapno diye hain tere jazbaat ka shauq

Dard dete ho mujhe badle mohabbat ke tum
Hai ajab khel tumhara ye masawaat ka shauq

Main ne mana hai ke tu mere muqaddar me nahi
Chhod aaya hu main peeche khayalat ka shauq

Tere aane se barasti hai ye rim jhim barish
Ha lubhati hai bahot mujh ko barsaat ka shauq

Aye ATAAI tumhe barbad karegi duniya
Kis tarah pale ho tum ne azabaat ka shuaq

Lutf = Mazaa
Masawaat = Barabari, equally
Azabaat = Takleef 

Comments