Neki ke maamle me hum be misal the
Zahid se dil lagi thi taqwa khayal the

Gumrah kar diya hai kisi ki nigah ne
Warna ibadato me hum bhi kamal the

Tujh se hui mohabbat Phir ho gaye tabah
Is hadse ke Pehle kitne nihal the

Ilm o adab se mujh ko tha is kadar shagaf
Mere dimag me bas ilmi sawal the

Khamosh ab to rehta hu tere khayal me
Pehle to guftugu me hum bhi dhamal the

Kismat chamak uthi hai teri to aye Ataai
Warna tujhe to Pehle kitne wabal the

Zahid = Nek log

Taqwa = neki
Nihal = Khush
Ilm = Knowledge
Shagaf= Dilchaspi, lagao
Ilmi sawal = Question about knowledge
Wabal = Museebat 

Comments