Sare jaha ke gam ka samundar liye

Sare jaha ke gam ka samundar liye huwe 
Zinda hu dard qalb ke andar liye huwe

Jis be wafa se main ne lagaya tha apna dil 
Aaya hai mere samne khanjar liye huwe

Jo chain or sukun sikandar na paa saka 
Baitha hai us ko ek kalandar liye huwe 

Main kis tarah baya(n) karu us ki jafao ko
Ishq o junoon ko hu main sar par liye huwe 

Tere bigair kya se kya hota chala gaya 
Phirta hu apne haal ko badtar liye huwe 

Kuch dastan e gam bhi sunao ATAAI tum
Phirte hain apne gam ko sukhan war liye huwe 

Kalandar = Sufi, wali, saint 
Sukhan war = shayar 

Comments