Us ke parde se dil kharab ho jaye 
Jane kya ho gar wo be naqab ho jaye 

Dekh kar mujhe us ko khumar aata hai 
Jaam e ulfat ka phir ek sharab ho jaye 

Dil lagana bhi hai ek khata magar zalim 
Dil ki hasrat hai ye azaab ho jaye 

Tum Agar aa jao zindagi me mere 
Zindagi phir se shabab ho jaye 

Guftugu ki agar ijazat do 
Meri baate kitab ho jaye 

Meri aaho ko rokne wale 
Teri dunya kharab ho jaye 

Hai tamanna yahi dil ki Ataai ab 
Us ki aankhen sharab ho jaye 

Khumar = Nasha 
Jaam e ulfat = Mohabbat ka jaam 
Hasrat = Khwahish 
Shabab = Jawan 
Guftugu = Baat 
Please visit my blog www.imranataai.blogspot.com 

Comments