Zulm o Jafa ki aag lagai thi aap ne

Zulm o jafa ki aag lagai thi aap ne 
Parwane ki chirag bujhai thi aap ne

Ye mai kashi ki aadat mujh ko na thi magar 
Mai khane ki sharab pilayi thi aap ne 

Jalwa agar dikhate to bach jati meri jaan 
Is tishna lab ki pyaas badhai thi aap ne 

Israr e aashiqi se waqif na the magar 
Mohabbat ke sare raaz batai thi aap ne 

Bas aap hi ki khatir pagal hai ATAAI 
Pehli nazar ki deed karai thi aap ne 

Jafa = Be wafai 
Mai kashi = Sharab pine ki aadat 
Mai khana = sharab Khana 
Tishna lab = Pyasa insan 
Israr e aashiqi = Ishq ke raaz 
Deed= deedar 

Comments