Zameen pe aaj aftab dekha hai

Zameen pe aaj aftab dekha hai 
Yaani use be hijab dekha hai 

Ab Sitaro se kuch nahi matlab 
Main ne ek maahtab dekha hai 

Lafz milta nahi hai ab mujh ko 
Ek haseen la jawab dekha hai 

Us ke lab ki na guftugu kije
Ek khilta gulab dekha hai 

Jo chaman ki zaib o zeenat hai 
Us chaman ka gulab dekha hai 

Kyu bane go ATAAI deewane 
Hum ne is ka azaab dekha hai 

Aftab = Suraj 
Be hijab = Be nakaab, be parda 
Maahtab = Chand 
Haseen = Khoobsoorat 
Guftugu = Baat 
Chaman = Baag, Garden 
Zaib o Zeenat = Khoobsoorati or sajawat 
Azaab = Khuda ki taraf se milne wali saza 

Comments