Hai deed ki hasrat tamanna hai nazar ki 
Hai chashm teri jaana maanind qamar ki 

Hai Teri nazar dilbar ek shola e aatish 
Phir aag lage dil me tere nazar ki 

Gar aah karu dil se fana hoke raho ge 
Hum aah kare kaise ye bat hai dar ki 

Phir Yaad me teri basar raat hui hai 
Hai khauf ajab dilbar ye raat peher ki 

Sukhe hue patto pe nazar kon jamaye
Hai haal bahot abtar is Sukhe shajar ki 

Dekhe hue tujh ko bahot saal hua hai 
Ab parda hata jana chehre ke asar ki 

Phir deed ko tere talib hai Ataai 
Le jald khabar apni deewane bahar ki 

Deed = deedar,  dekhna 
Chashm = Ankhe 
Maanind qamar = Chand ke jaisa 
Peher = rat ka waqt 

Comments