Tasawwuraat ki dunya

Khoob tar hai tasawwuraat ki dunya 
Hai ye sach much wafaat ki dunya 

Ab ujaalo se khauf aata hai 
Hum ne dekhi hai raat ki dunya 

Ab sambhale nahi sambhalti hai 
Aise bigde mere haalat ki dunya 

Yu haqarat se bheek na dena 
Tum ne dekhi hai kayenaat ki dunya??? 

Log talib hain khush gawar mosam ke 
Hum ne chaha faqat barsaat ki dunya 

Apne maa baap ki karo khidmat 
Paoge yu najaat ki dunya 

Zindagi mushkil hui sambhalne se 
Kyu talab hai ATAAI hayaat ki dunya 

Tasawwuraat ki dunya = imagination world 
Wafaat = maut 
Khauf = dar 

Comments