NAAT-E-PAAK

NAAT us nazm (shayari) ko kehte hain jis me Hazrat Mohammed sallallahu Alaihi wa sallam ki tareef ki jati hai. Main ne pehli baar likha hai. Aap log pura padho or kuch kami nazar aaye to batana. 

Aye deen e haq ke rehbar kije karam Khudara 

Aye be kaso ke yaawar kije karam Khudara 

Mushkil kushai kije mujh ko rihai dije 

Aye Ambiya ke sarwar kije karam Khudara 

Faryaad meri sun lo imdad meri kar do 

Aye mere rab ke dilbar kije karam Khudara 

Rehmat ho tum sarapa main murtakib khata ka 

Aye aasiyo ke yaawar kije karam Khudara 

Mujrim to hai ATAAI is ko mile rihai 

Tum ho shafee e mehshar kije karam Khudara 

Yaawar = madad karne wale 

Mushkil kushai = Mushkil ko door karna 
Ambiya ke sarwar = Sare nabiyo ke badshah 
Imdad = madad 
Shafee e mehshar = Qayamat me gunahgaro ki sifarish karne wale or un ki magfirat karane wale 

Comments