Dosto! Mere abba ke peer saab sufi Sayyad Zafarullah Shah Qadri ehraam se farig ho chuke hain. Haalat e ehraam me un ke jazbat ko main ne nazm (Poetry) surat me likha. Aap log mazeed mujhe duao se Nawaze. 

Ho gaya mujh ko muyassar tawaf e kaaba
Ye karam tera hai mujh pe rabb e kaaba 

Teri taufeeq se Makka to chala aaya hu 
Bakhsh de mujh ko mola sadke kaaba 

Teri rehmat ka sawaali hu aye mere Allah 
Hath me tere karam se aaya gilaf e kaaba 

Mere apne bhi dua go hai mujh se ya rabb
Sab ki sunta hai tu mola ba Tufail e kaaba 

Ab ATAAI bhi sawaali hai ziyarat ko mola 
Ho sharaf is ko bhi mola deedar e kaaba 

Muyassar = moka milna 
Tawaf e kaaba = kaaba shareef ka chakkar lagana 
Gilaf e kaaba = kaabe shareef ki chadar 
Dua go = dua ki guzarish karna 

Comments