JHUKI HAIN NAZRE ZARA ZARA SA

Jhuki hain nazre zara zara sa 
Khuli hain palke nasha nasha sa 

Hain un ke tevar chadha chadha sa 

Hain un ka chehra khafa khafa sa 

Unhi ke chehre pe hai Tabassum 

Labo pe gaane maza maza sa 

Wo lutf farmain to ye karam hai 

Nahi to daman bacha bacha sa 

Wo jab bhi aate hain mere dar par 

Nazar ko phere mila mila sa 

ATAAI un ka fidai ban ja 

Hai tera tan man fida fida sa 


Tabassum = Muskurahat
Lutf = Maza 
Karam = Ehsaan 
Dar = Darwaza

Comments