Aayi lehrati hui tez tufani barish 
Aa gayi yaad mujhe Bachpan ki purani barish 

Khushi se jhoomte the hum pyare bachche 
Shamil thi khushi me ye diwani barish 

Rehmat e khuda barasti thi chhamachham hum par 
Kaisa dil kash tha barasta hua rehmani barish 

Kuch na parwah thi apni tabiyat ki hame 
Yaad mujh ko hai bachpan ki nadani barish 
Ab jo barsa hai to ATAAI karo shukr adaa 
Garmi se rahat hai ye nishani barish 

Rehmani barish = Khuda ko taraf se barasta hua barish 

Comments