Ahle sukhan ke waste rasta bana diya 
Alfaz ko samet kar jazbaa ataa kiya 

Ahle wafa ke sare gul ho gaye chirag 
Jab be wafa ka sara kissa suna diya 

Kuch yu utar gaye wo meri jaan me 
Jaise Khuda ne us ko mujh me sama diya

Khushboo laga ke kya karu aye mere dil azeez 
Jab tune apni zaat ka khushboo lega diya 

Ab zaat me teri fana ho gaya ATAAI 
Ab apni zaat ko hi tujh ne guma diyaa 

Ahle sukhan = Shayar 

Comments