Dosto!  Mere abba ke peer o murshid sufi Sayyad Zafarullah Shah Qadri 30 May ko umra ke liye jaa rahe hain is moke par main ne abba ki farmaish par ye sher (line) likha hai 

Khuda ka banda khuda se milne Khuda ki janib rawa hue hain 
Khudi ko kar ke buland itna wo rahe haq me fana hue hain 

Wo maarfat ka noor e Aala ke jin ki azmat hai sab se baala 
Wo jin ka jalwa hai bari taala wo apne rab se gana hue hain

Khuda ki janib = Khuda ki taraf 
Rawa= Rawana hue hain 
Rahe Haq = Khuda ki raah 
Maarfat = Khuda ki pehchaan 
Azmat = Martaba , bulandi
Baala = Uncha 
Gana = Dolat mand 

Comments