Dosto!  Ye meri pehli wali post ka jawab hai 

Aap sahib e karam hain paas aaiye zara 
Magroor to nahi hain muskuraiye zara 

Aap sahib e ataa hain hum sahib e khata 
Mujrim o khata kaar par taras khaiye zara 

Rehte hain aap dil me ye dil hai aap ka
Narazgi ab chhodiye dil me aaiye zara 

Behtar hai qurbato se maza kuch to lijiye 
Nazdeek aake lutf bhi farmaiye zara 

Aap jaan hain meri jaan e gazal hain aap 
Jaane Bhi dijiye dar guzar farmaiye zara 

Khud se  khafa nahi mujh se khafa hain aap 
Maafi ka hu talib maaf to farmaiye zara 

Aap ishq ke wisaal hain aap meri aas hain 
Aap nek hain yakeenan lutf o karam farmaiye zara 

Ab aap ke siwa ATAAI hame chahiye bhi kya 
Sab kuch ho mera aap maan bhi jaiye zara 

Sahib e karam = karam karne wala 
Sahib e ataa = ataa karne wale, Nawaz ne wala, dene wala 
Qurbat = nazdiki 
Dar guzar = maaf karna 
Talib = chahna
Wisal = milana 

Comments